Raat hui jab shaam

Raat hui jab shaam k baad, teri yaad ayi har baat ke baad, humne khamosh rehkar bhi dekha, teri awaaj ayi har saans ke baad

Posted under Dosti Shayari

This post was written by Shayari on July 4, 2009

Dil to Jalkar rakh ho gaya

Dil to Jalkar rakh ho gaya, magar in ankho se roya na gaya, kuch jakhm judai ke aise mile ki phoolon ke bister pe bhi soya na gaya

Posted under Friendship Shayari

This post was written by Shayari on July 4, 2009

Raat gujri phir mehekti subah ayi

Raat gujri phir mehekti subah ayi, dil dhadka phir tumhari yaad ayi, aanko ne mehsoos kiya uss hawa ko , jo tumhe chhukar hamare pass ayi.

Posted under Desi Shayari

This post was written by Shayari on July 4, 2009

Mitti meri kabr se churata hai koi

Mitti meri kabr se churata hai koi, mar kar bhi yaad ata hai koi, ae khuda ek pal ki jindagi aur de mujhe, udas meri kabr se jata hai koi

Posted under Shayari

This post was written by Shayari on July 4, 2009

Ek pal me bhula diya hamko

 Ek pal me bhula diya hamko, ek pal me juda ho gaye, abhi to mere saath the, abhi na jane kahan kho gaye, kahi soh to nahi gaye?

Posted under Dard Shayari

This post was written by Shayari on July 4, 2009

Faisala Na Karo

Mere dukh ki koi dawa na karo
Mere dukh ki koi dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo
Nakhuda ko khuda kaha hai to phir
dub jao, khuda khuda na karo
Ye sikhaya hai dosti ne hamay
dost banakar kabhi wafa na karo
Ishq hai ishq, ye mazak nahi
chand lamhon may faisala na karo

Fakir…..

Posted under Crazy Shayari

This post was written by Shayari on June 28, 2009

Mohabbat

mohabbat per hamari agar unhen aitbaar hota
sare jahan ki khushiyon per hamara bhi ikhtiyaar hota
gum is baat ka nahi hai ki hamen bewafai mili
gila iska hai ki wafa ki rasmen humse nabhayi na gayi

“Mauje”

Posted under Dard Shayari

This post was written by Shayari on June 28, 2009

Kabhi raste mein

kabhi raste mein mil jaao to katra ke gujar jana
hamen yun takna jaise pahchana nahi tumne
hamara jikra jab bhi aaye khi to yun anjaan ban jana
jaise naam sun kar bhi hamen jana nahi tumne

from movie SilSila

Posted under Hindi Movie Shayari

This post was written by Shayari on June 28, 2009

Zindagii Shaayad

shaayad mai.n zindagii kii sahar leke aa gayaa
qaatil ko aaj apane hii ghar leke aa gayaa
taa-umr Dhuu.NDhataa rahaa ma.nzil mai.n ishq kii
a.njaam ye ki gard-e-safar leke aa gayaa
nashtar hai mere haath me.n, kaa.ndho.n pe maiqadaa
lo mai.n ilaaj-e-dard-e-jigar leke aa gayaa
‘fakir’ sanamakade me.n na aataa mai.n lauTakar
ik zaKhm bhar gayaa thaa idhar leke aa gayaa

Posted under Crazy Shayari

This post was written by Shayari on June 28, 2009

SHUKRIYA aMRIT BHAI

SHUKRIYA aMRIT BHAI
NAHI WO SHAKHS MUQADAR MAIn PHIR
BHI US SE MILTA HOON FARAZ
BARA PUR -
 LUTF LAGTA HAI MUQADAR KO SAZA DENA……………

Posted under Dard Shayari

This post was written by Shayari on June 28, 2009